Talat Mehmood – Itna Na Mujhse Pyaar Karo lyrics

Itna na mujhse tu pyaar badha
ki main ik badal aawara
kaise kisi ka sahara banoon
ki main khudh beghar bechara

Isliye tujhse main pyaar karoon
ki too ik badal aawara
janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhara

Itna na mujhse pyaar tu badha
ki main ik badal aawara
janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhara

(Mujhe ek jagah aaraam nahi
ruk jana mera kaam nahi) -2
Mera saath kahan tak dogi tum
main desh videsh ka banjara

Itna na mujhse tu pyaar badha
ki main ik badal aawara
kaise kisi ka sahara banoon
ki main khudh beghar bechara

Isliye tujhse main pyaar karoon
ki too ik badal aawara
janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhara

(o neel gagan ke deewane
too pyaar na mera pahchane) -2
main tab tak saath chaloon tere
jab tak na kahe too main haara

Isliye tujhse main pyaar karoon
ki too ik badal aawara
janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhara

Itna na mujhse tu pyaar badha
ki main ik badal aawara
kaise kisi ka sahara banoon
ki main khudh beghar bechara

(kyoon pyaar main too nadaan bane
ik pagal ka armaan bane) -2
Ab laut ke jaana mushkil hai
maine chhod diya hai jag sara

Itna na mujhse tu pyaar badha
ki main ik badal aawara
janam janam se hoon saath tere
hai naam mera jal ki dhara

Submitted by Guest